muddatoñ meñ ghar hamāre aaj yaar aa hī gayā
zulm kartā thā magar zālim ko pyaar aa hī gayā
hijr kī rāteñ kaTīñ taare gine jaagā kiye
vasl ke lamhe mile āḳhir qarār aa hī gayā
vahm the merī taraf se bad-gumānī thī unheñ
merī fitrat dekh ke ab e'tibār aa hī gayā
maiñ ne maanā aarzī haiñ vasl kī ghaḌiyāñ magar
chand lamhoñ ke liye daur-e-bahār aa hī gayā
ham ko piine se ġharaz kyā ye sharāb-e-zāhirī
in kī nazreñ jab uThīñ mujh ko ḳhumār aa hī gayā
ai 'nizāmī' daf.atan un kī nigāheñ uTh ga.iiñ
pyaar vo karte na the be-iḳhtiyār aa hī gayā