Baqaullah 'Baqa'

jo chashm-o-dil se chaDha dun nale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
jo chashm-o-dil se chaḌhā duuñ naale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
to māh-o-ḳhur ke bharūñ pyāle ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
jo chashm rove to dil bhī aahoñ meñ merī laḳht-e-jigar pirove
jape vo sumran tirī ye maale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
jo koī turbat pe merī guzre to tāb-e-ashk-o-tab-e-fuġhāñ se
paḌeñ do har har qadam pe chhāle ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
jo āh-e-pechāñ se ashk shab ko falak pe gardish-kunāñ chaḌhegā
to gird-e-mah do paḌeñge haale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
sarishk-o-āh ab ye be-asar haiñ ki jā falak tak shab-e-judā.ī
dar-e-asar par ye de haiñ taale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
mabād furqat meñ chashm-o-dil kī ye ashk-rezī aur āh-ḳhezī
balā-e-nāgah jahāñ pe Daale ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
falak se devoñ kī tarah us bin sarishk-o-āh-e-'baqā' se ab to
chaḌhe haiñ laḌne ko do risāle ba-āb-e-avval dovam-ba-ātish
Top Urdushayar.com