haañ miyāñ sach hai tumhārī to balā hī jaane
jo guzartī hai mire dil pe ḳhudā hī jaane
dil se nikle kahīñ pā-bosī-e-qātil kī havas
kaash vo ḳhuuñ ko mire rañg-e-hinā hī jaane
dil kī vāshud pe abas aah ne khīñchī taklīf
kholne uqde to ġhunchoñ ke sabā hī jaane
roz-o-shab naza.a meñ hai āshiq-e-chashm-o-lab-e-yār
na to jiinā hī vo samjhe na fanā hī jaane
ham to nit duur se ḳhamyāza-kash-e-hasrat haiñ
lazzat-e-bos-o-kanār us kī hayā hī jaane
tere bīmār ko kyā hove shifā jis ke tabīb
na to kuchh dard ko samjhe na davā hī jaane
pūchh is dil se jo hai kaaT tire abrū kā
jauhar-e-burrash-e-shamshīr sipāhī jaane
apnī marzī to ye hai banda-e-but ho rahiye
aage marzī hai ḳhudā kī so ḳhudā hī jaane
taur par apne suḳhan kaun burā kahtā hai
par ye andāz jo pūchho to 'baqā' hī jaane