Siddiq ahmad Nizami

tang aa gae hain kashmakash-e-ashiyan se hum

Siddiq ahmad Nizami

tañg aa ga.e haiñ kashmakash-e-āshiyāñ se ham

ab rahe haiñ aap ke is gulistāñ se ham

sayyād ne jo kaaT diye bāl-o-par tamām

fariyād aaj karte haiñ us bāġhbāñ se ham

bijlī chamak rahī hai nasheman ḳhair ho

māyūs ho ga.e haiñ kuchh ab āshiyāñ se ham

fasl-e-bahār hai ajī gaane ke roz haiñ

kunj-e-qafas meñ baiThe haiñ ik be-zabāñ se ham

har shaḳhs hai hamārī mohabbat pe ta.ana-zan

tañg aa ga.e haiñ apnī is dāstāñ se ham

un navāzishāt bhī sab rā.egāñ ga.iiñ

nādim se ho rahe haiñ ab ik mehrbāñ se ham

ye shukr hai ki duur nahīñ manzil-e-murād

chhup-chhup ke pahuñchte haiñ har pāsbāñ se ham

ai dil muaaf kar de 'nizāmī' be-ruḳhī

Darte haiñ is zamāne meñ har bad-gumāñ se ham

Top Urdushayar.com