qazā ne hāl-e-gul jab saf.ha-e-taqdīr par likkhā
mirī dīvāngī kā mājrā zanjīr par likkhā
za.īfī se nahīñ pairoñ ke chiiñ peshānī-o-rū par
ye ḳhatt-e-nā-umīdī hai ki rū-e-pīr par likkhā
nahīñ tujh se hameñ da.ava-e-ḳhūñ gar sham.a ne qātil
ab apne ḳhuuñ kā mahzar gardan-e-gul-gīr par likkhā
ye sab mazmūñ hai shīrīñ kohkan kī rū-sapedī kā
jahāñ tak mauj ne satroñ ko jū-e-shīr par likkhā
'baqā' ke dil meñ aa ā.īna terī qadr kyā jaane
abas hai naqsh-e-gul gar bulbul-e-tasvīr par likkhā