rah-ravāñ kahte haiñ jis ko jaras-e-mahmil hai
mehnat-e-rāh se nālāñ vo hamārā dil hai
mauj se besh nahīñ hastī-e-vahmī kī numūd
safha-e-dahr pe goyā ye ḳhat-e-bātil hai
kuchh ta.ayyun nahīñ is raah meñ juuñ reg-e-ravāñ
jis jagah baiTh ga.e apnī vahī manzil hai
āstīñ hashr ke din ḳhuun se tar ho jis kī
ye yaqīñ jāniyo us ko ki mirā qātil hai
khol do uqda-e-kaunain 'baqā' ke pal meñ
yā-alī tum ko ye āsāñ hai use mushkil hai