yaksāñ lageñ haiñ un ko to dair-o-haram baham
jo pūjte haiñ dil meñ ḳhudā-o-sanam baham
dekhā to ek sho.ale se ai shaiḳh-o-barhaman
raushan haiñ sham-e-dair o charāġh-e-haram baham
bārīk haiñ dahan se tire vaqt-e-ḳhanda yaar
karte haiñ dīd-e-hastī o sair-e-adam baham
nāseh na ham tirī na hamārī sunegā tū
kyā fā.eda jo bahs kareñ do asam baham
ḳhar-mastiyoñ pe mohtasib aatā hai chal 'baqā'
bāñdheñ ham is himār ke donoñ qadam baham