sair meñ terī hai bulbul bostāñ be-kār hai
bostāñ ġhairat se ḳhud ujḌā ḳhizāñ be-kār hai
chhoḌ kar aañsū ko laḳht-e-dil gayā ham-rāh-e-āh
naav ḳhushkī meñ chalī āb-e-ravāñ be-kār hai
gah zamīñ se baam par huuñ baam se gah bar zamīñ
is tapish se apne ghar kī nardbāñ be-kār hai
aa.ī ab fasl-e-gul aur mujh andalīb-e-zār kā
hai nasheman shāḳh-e-gul par āshiyāñ be-kār hai
yaar se aur ham se mahfil meñ bachā kar chashm-e-ġhair
hai suḳhan iimā meñ bāham aur zabāñ be-kār hai
mere Dar se tū ne biThlāyā thā dar par pāsbāñ
so maiñ hasrat se muā ab pāsbāñ be-kār hai
ḳhalq ko maare hai chashm us kī muattal hai qazā
fitna hai us kī nigah meñ āsmāñ be-kār hai
māñgtā huuñ bosa maiñ jis dam to us dam yaar ke
kaar meñ lab par nahīñ hai dil meñ haañ be-kār hai
kār-farmā dekh kar ġhairoñ pe maiñ us se kahā
kaar hai mujh se bhī kuchh bolā ki haañ be-kār hai
ai 'baqā'-e-kārvāñ is reḳhte kī har radīf
garche hai be-kār par batlā kahāñ be-kār hai