Siddiq ahmad Nizami

KHuda kare ki nazar kaamyab ho jae

Siddiq ahmad Nizami

ḳhudā kare ki nazar kāmyāb ho jaa.e
tirī nazar meñ mirā intiḳhāb ho jaa.e
vo sāmne mire be-parda aa ga.e lekin
mazā to jab hai ki phir se hijāb ho jaa.e
kiye the vasl ke va.ade hazār tum ne magar
maiñ aaj aa hī gayā lo hisāb ho jaa.e
bikher ruḳh pe zarā apne is tarah zulfeñ
ki zulf chehre pe tere naqāb ho jaa.e
ilāhī vasf ho dil meñ to mere itnā ho
bharūñ jo chullū meñ paanī sharāb ho jaa.e
Top Urdushayar.com