Baqaullah 'Baqa'

sikha jo qalam se na-e-Khaali ka bajaana

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
sīkhā jo qalam se na-e-ḳhālī kā bajānā
kar naġhma 'baqā' fikrat-e-ālī kā bajānā
tasma mire mat dil pe divālī kā bajānā
ye laT jo hai chābuk usī kaalī kā bajānā
maarā kiye mutrib ba-chugāñ dil pe thapeḌe
sīkhe isī table pe vo taalī kā bajānā
ulfat meñ tirī ai but-e-be-mehr-o-mohabbat
aayā hameñ ik haath se taalī kā bajānā
le mol mire dil kā vo jab sāġhar-e-nāzuk
yaad aave na kaash us ko sifālī kā bajānā
is nāla-e-be-saut ne hairat meñ sikhāyā
saaz ab mujhe tasvīr-e-nihalī kā bajānā
bas ai ġham-e-ġhammāz mirī āh-e-jigar se
la.anat hai tirā baam pe thālī kā bajānā
be-sāqī-o-mai soch meñ hai kaam hamārā
baiThe sir-e-nāḳhun se pyālī kā bajānā
is kūdak-e-be-hosh kā aafat hai shab uTh kar
Thekoñ pe mirī aah ke taalī kā bajānā
suntā huuñ kisī poch kī jab daf-zanī-e-fikr
aatā hai mujhe yaad Dafālī kā bajānā
kartā hai 'baqā' naala to kar jhāñj meñ dil se
be-jhāñj hai kyā is daf-e-ḳhālī kā bajānā
Top Urdushayar.com