dil ḳhuuñ hai ġham se aur jigar yak-na-shud do-shud
lab ḳhushk haiñ to chashm hai tar yak-na-shud do-shud
rusvā to naala kar ke hue lekin us ne yaar
dil meñ tire kiyā na asar yak-na-shud do-shud
avval to ham ko tāqat-e-parvāz hī na thī
tis par burīda ho ga.e par yak-na-shud do-shud
paayā na ham ne suud mohabbat meñ yaar kī
is par bhī pahuñchtā hai zarar yak-na-shud do-shud
chhiḌkā mire jigar pe namak ġhair se rahā
paivasta misl-e-shīr-o-shakar yak-na-shud do-shud
āvāra juuñ sabā huuñ par ab justujū-e-yār
rakhtī hai mujh ko ḳhāk-basar yak-na-shud do-shud
mushkil thā dekhnā hī tirā tis pe roz-e-vasl
laa.ī na chashm tāb-e-nazar yak-na-shud do-shud
nālāñ ham apne ashk ke hāthoñ the ab 'baqā'
bahne lageñ haiñ laḳht-e-jigar yak-na-shud do-shud