Baqaullah 'Baqa'

nargis-e-mast teri jae jo tul barsar-e-gul

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
nargis-e-mast tirī jaa.e jo tul barsar-e-gul
teġh-e-abrū se girāve sar-e-gul barsar-e-gul
maujzan dekh tire husn kā dariyā-e-bahār
bāñdh de bād-e-sabā ḳhaak ke pul barsar-e-gul
apnī nāzuk-badanī se jo ho saaqī ko ḳhabar
phir to hargiz na piye baiTh ke mul barsar-e-gul
khol kar baaġh meñ terā juz-e-majmūa-e-husn
aaj laa.ī hai sabā āfat-e-kul barsar-e-gul
gar 'baqā' naaz se goyā ho mirā ġhuncha-dahan
gardan-e-ġhuncha gire sharm se Dhul barsar-e-gul
Top Urdushayar.com