Baqaullah 'Baqa'

jo jahan ke aaina hain dil unhon ke sada hain

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
jo jahāñ ke aa.ina haiñ dil unhoñ ke saada haiñ
dil meñ jā dene ko vo har ek ke āmāda haiñ
qatl se āshiq ke tū ne ab to khaa.ī hai qasam
āḳhir ai qātil ye bāteñ pesh-pā-uftāda haiñ
kal ke din jo gird mai-ḳhāne ke phirte the ḳharāb
aaj masjid meñ jo dekhā sāhab-e-sajjāda haiñ
band meñ mutlaq jo mujh ko ḳhatra-e-sayyād ho
huuñ asīr-e-dām par vaz.aeñ mirī āzāda haiñ
rāh-paimāyān-e-aqlīm-e-adam se yādgār
dāman-e-sahrā meñ ab baaqī nuqūsh-e-jāda haiñ
chashm-e-sāqī ke liye haiñ teġh-e-abrū dosh par
lag na chal un se 'baqā' ye turk mast-e-bāda haiñ
Top Urdushayar.com