merī go aah se jañgal na jale ḳhushk to ho
ashk kī tuft se go jal na jale ḳhushk to ho
paak karte hue gar ashk mire dāman kā
nāla-e-garm se āñchal na jale ḳhushk to ho
namī-e-ashk ke baa.is jo mirī aah se raat
zer-e-ruḳh takiya-e-maḳhmal na jale ḳhushk to ho
mehr-vash husn kī garmī se tire vaqt-e-araq
tan pe gar nīma-e-malmal na jale ḳhushk to ho
sāqiyā mausam-e-gul be-mai-o-mīnā jo mirī
aah kī barq se bādal na jale ḳhushk to ho
shola-rū nit kī savārī meñ sabab garmī ke
zer-e-rāñ go tire kotal na jale ḳhushk to ho
ho agar ye dil-e-sozāñ tire quliyāñ kī chilam
āb-e-nai se jo ye narsal na jale ḳhushk to ho
haa.e ai ātish-e-dil aab se garmī se jalā
chashm-e-tar kī mirī chhāgal na jale ḳhushk to ho
tifl bad-ḳhū hai mirā ashk, ḳhudāyā is kī
go ba-ḳhirman huī koñpal na jale ḳhushk to ho
ġharq hai ashk meñ ghar tujh se ab ai nāla-e-garm
go mire sukh kā ye manDal na jale ḳhushk to ho
ashk se ḳhāma rahe jo mire bas meñ na 'baqā'
go tab-e-tan se ye babbal na jale ḳhushk to ho