Baqaullah 'Baqa'

mujhe to ishq mein ab aish-o-gham barabar hai

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
mujhe to ishq meñ ab aish-o-ġham barābar hai
ba-rañg-e-sāya vajūd-o-adam barābar hai
na kuchh hai aish se bālīdgī na ġham se gudāz
hamāre kaam meñ sab nosh o sam barābar hai
chalā hai qāfila par ham se nā-tavānoñ ko
hazār gaam se ab ik qadam barābar hai
ba-chashm-e-mardum-e-raushan-zamīr gar pūchho
to qadr-e-jām-e-mai o jām-e-jam barābar hai
ḳhizāñ ke roz jo dekhā to andalīboñ ko
safīr-e-būm se ab zer-o-bam barābar hai
bahut shagufta haiñ gulshan meñ garche lāla-o-gul
tumhāre chehre se par koī kam barābar hai
ye riñd de ga.e luqma tujhe to uzr na maan
tirā to shaiḳh tanūr o shikam barābar hai
vo mast-e-nāz-o-adā jis ko roz va.ade ke
shikast-e-jām o shikast-e-qasam barābar hai
'baqā' jo baar na de ham ko apnī mahfil meñ
to marg o zindagī apnī baham barābar hai
Top Urdushayar.com