ḳhushbū ko rañgtoñ pe ubhartā huā bhī dekh
naqsh-e-zar-e-bahār chamaktā huā bhī dekh
rakh ke madār-e-shauq kisī āftāb par
tū sañg-e-intizār pighaltā huā bhī dekh
āñkhoñ ke gird jhāñkte halqe na dekh tū
sail-e-ḳhajista-ḳhū ko utartā huā bhī dekh
be-faiz dasht-e-dard meñ āhistagī ke saath
āhū-sarisht logoñ ko chaltā huā bhī dekh
rañg-e-hinā ko naqsh-e-qadam se judā bhī kar
sahrā meñ raḳhsh-e-shauq ko girtā huā bhī bhī dekh
mahsūs kar chhalakte hue shauq kī jalan
yaḳh chāñdnī meñ jism ko jaltā huā bhī dekh
har chiiz de ke jaatī hai apnī nishāniyāñ
har gul meñ rañg-e-sub.h jhalaktā huā bhī dekh
'nāhīd' chīra-e-dastī-e-yārāñ aziiz rakh
mauqe ke saath un ko badaltā huā bhī dekh