Baqaullah 'Baqa'

jab mere dil jigar ki tilisMein banaiyan

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
jab mere dil jigar kī tilismeñ banā.iyāñ
labrez-e-āb-e-ashk kiiñ āñkhoñ kī khā.iyāñ
dast-e-hinā se phuuT bahā āḳhirash ko ḳhuuñ
kiiñ panja kar ke tujh se jo zor-āzmā.iyāñ
us aañkh se jab aañkh milā.ī to bahr ne
chashm-e-sadaf meñ mauj kī pherīñ salā.iyāñ
kis fitna-e-zamīñ se ye rahtā hai shab do-chār
uḌtīñ haiñ āsmāñ ke jo muñh par havā.iyāñ
us sham.a-rū ne apne shahīdoñ kī juuñ patañg
gaḌne na diiñ zamīn meñ lāsheñ jalā.iyāñ
us qand-lab kī diid se in putliyoñ ko mor
khāveñge zer-e-ḳhāk samajh kar ḳhatā.iyāñ
taḌpe bahut pa jānib-e-sayyād āḳhirash
qullāb-e-ishq kī kashisheñ ham ko lā.iyāñ
tab sūrateñ jo pesh-e-nazar thiiñ so misl-e-ashk
yuuñ gum huiiñ zamīñ meñ ki DhūñDhe na pā.iyāñ
pā kar shifā banafsha-e-ḳhat se vo añkhḌiyāñ
sehhat ke din bhī ḳhuun se mere nahā.iyāñ
maanā na turk-e-chashm ne āḳhir kiyā hī qatl
har-chand dil ne diiñ tire lab kī duhā.iyāñ
dekheñ 'baqā' ki hijr ke aa.e pe kyā bane
apne to hosh uḌ ga.e sun sun adā.iyāñ
Top Urdushayar.com