is lab se ras na chūse qadah aur qadah se ham
to kyuuñ mile subū se qadah aur qadah se ham
saaqī na hove paas tū kab jur.a-e-sharāb
shīshe ke le gulū se qadah aur qadah se ham
baaqī rahe na baada to us ke evaz meñ aab
le ḳhum kī shust-o-shū se qadah aur qadah se ham
gardish pe terī chashm kī bahse hai ham se yaar
da.ave kī guftugū se qadah aur qadah se ham
chashm apnī Tuk dikhā de use tū ki aave baaz
is bahs-e-dū-ba-dū se qadah aur qadah se ham
bosa tire dahan se ye hañgām-e-mai-kashī
le hai kis aarzū se qadah aur qadah se ham
paate haiñ mai-kade meñ 'baqā' ne.amat-e-sharāb
ḳhum se sab subū subū se qadah aur qadah se ham