ġhairat-e-gul hai tū aur chāk-garebāñ ham haiñ
rashk-e-sumbul hai tirī zulf pareshāñ ham haiñ
nā-tavāñ chashm tirī ham haiñ asā ke muhtāj
nit kī bīmār vo aur tālib-e-darmāñ ham haiñ
rashk-e-tūtī hai ḳhat-e-sabz tirā ham goyā
donoñ aariz haiñ tire aa.ina hairāñ ham haiñ
āj-kal haa.e tire naaz ke hāthoñ ai yaar
sadma pahuñche hai tire qalb ko nālāñ ham haiñ
lāla-rūyoñ kī mohabbat meñ ab ai sarv-e-sahī
sar-ba-sar daaġh tū aur sarv-e-ḳhirāmāñ ham haiñ
ham asīr-e-ḳham-e-mū tere hamārā tū raam
ḳhātim-e-jam hai tire paas sulaimāñ ham haiñ
tū suḳhan-sanj 'baqā' naam hamārā mash.hūr
ḳhātim-e-jam hai tire paas sulaimāñ ham haiñ