aave jo naaz se mirā vo but-e-sīm-bar ba-bar
kaahe ko le phire mujhe merā nasīb dar-ba-dar
chashm-ba-chashm rū-ba-rū sīna-ba-sīna dil-ba-dil
sāq-ba-sāq-o-lab-ba-lab pā.e-ba-pā.e sar-ba-sar
tum to raho ho mehrbāñ ġhair ke saath is tarah
aur maiñ phirūñ huuñ ḳhvār-o-zār ḳhāna-ba-ḳhāna ghar-ba-ghar
ai but-e-mehr-vash kabhī Tuk to nigāh garm ho
ashk se kab talak raheñ dāman-o-jeb tar-ba-tar
dām-e-balā se ab 'baqā' ham se asiir kab chhuTeñ
rishta-e-ġham se guth ga.e bāl-ba-bāl par-ba-par