Baqaullah 'Baqa'

dast-e-naseh jo mere jeb ko is bar laga

Baqaullah 'Baqa'

Agra, Uttar pradesh, India

1791
dast-e-nāseh jo mire jeb ko is baar lagā
phāḌūñ aisā ki phir is meñ na rahe taar lagā
pahuñchī us but ko ḳhabar nāla-e-tanhā.ī kī
mudda.ī kaun khaḌā thā sar-e-dīvār lagā
maraz-e-ishq tumhārā to ye tūfāñ hai ki maiñ
jis se mazkūr kiyā us ko ye āzār lagā
jis kā mallāh banā ishq vo kashtī Duubī
us ke kehve se to beḌā na koī paar lagā
murġh-e-zīrak the tah-e-dām na aa.e hargiz
uḌ ga.e ham sar-e-sayyad pe minqār lagā
dard ye dil meñ uThā raat ki ho garm-e-tapish
uḌ gayā suune falak meñ par-e-ahrār lagā
parda-e-ḳhāk se dī mujh ko kisī ne āvāz
gor hamvār thī sunñe jo maiñ yakbār lagā
phir to ġhaflat-zada tā-ḳhvāb-e-adam hai yaañ tū
dekh le ham ko na Tuk dīda-e-bedār lagā
jab maiñ dekhūñ huuñ to kasrat hai ḳharīdāroñ kī
ghar meñ us ġhairat-e-yūsuf ke hai bāzār lagā
khīñch pīchhe ko qadam aah maiñ yaañ tak royā
ki mire aage 'baqā' dur kā ik ambār lagā
Top Urdushayar.com