sipāh-e-ishrat pe fauj-e-ġham ne jo mil ke markab baham uThā.e
idhar to naale kā tāshā kaḌkā udhar fuġhāñ ne alam uThā.e
is ashk o laḳht-e-jigar se ik hī faqat na mardum ko fā.eda hai
jo dur ke role adad kisī ne to la.al ke bhī raqam uThā.e
sabab raqīboñ ke bazm meñ ab ga.ī vo aapas kī ham-nashīnī
ham aan baiThe to uTh gayā vo vo aan baiThā to ham uTh aa.e
tahī-kaf aa.e the ham adam se chale bhī yaañ se to dast-e-ḳhālī
na tosha vaañ se liyā thā zar kā na saath yaañ se diram uThā.e
'baqā' jo raahī hue adam ke to vaqfa hargiz karo na dam kā
ye raah hastī kī pur-ḳhatar hai chalo yahāñ se qadam uThā.e