idhar-udhar jo charāġh TuuTe paḌe hue haiñ
salām un ko ye āñdhiyoñ se laḌe hue haiñ
dikhā rahe haiñ hameñ jo apnā phulā ke siina
hameñ pata hai ye kis ke bal par khaḌe hue haiñ
gale milāne kī sulh kī ho pahal kidhar se
abhī to donoñ hī apnī zid par aḌe hue haiñ
haqīqateñ sab dabī huī haiñ unhī ke nīche
siyāsī logoñ ne aise qisse ghaḌe hue haiñ
dikhā.ī dene lage haiñ rishte tamām baune
abhī to sāhab kamā ke daulat baḌe hue haiñ