kūfa-e-shab ne jo ta.abīr kī had jaarī kī
maiñ ne jalte hue ḳhvāboñ kī azā-dārī kī
vaqt ne us ke muqaddar meñ likhī tārīkī
jis ne chaḌhte hue sūraj kī taraf-dārī kī
dil dhaḌakne pe musir thā so dhaḌaktā hī gayā
lamha-e-dīd kī āñkhoñ ne nigah-dārī kī
tāq-e-har-chashm pe ḳhvāboñ ke diye bujh se ga.e
kuchh havā aisī chalī shahr meñ bedārī kī
sukh kā kirdār nibhāne ke liye umr tamām
maiñ ne rotī huī āñkhoñ se adākārī kī