piine deñ mai-kashoñ ko jahāñ bhī piyā kareñ
sajda vuzū kareñ na kareñ bas duā kareñ
kānoñ ne kyā sunā thā zabānoñ ne kyā kahā
insāniyat ghaTī hai yahāñ kam milā kareñ
rū-posh phir rahe haiñ riyāsat ke bādshāh
gaddī pe phir ye kaun hai chaliye pata kareñ
amn-e-jahāñ ko jhoñk dī apnī javāniyāñ
is se ziyāda 'dīp' bhalā aur kyā kareñ