Muzaffar Ali Syed

dahan-e-mehman mein kanTe

Muzaffar Ali Syed

dahan-e-mehmān meñ kāñTe
pahlū-e-mezbān meñ kāñTe
ḳhuun thūkegā jo bhī khā.egā
aap ke ḳhās-dān meñ kāñTe
ḳhūb-rūoñ kā kyā bharosā hai
aan meñ phuul aan meñ kāñTe
gul-e-ruḳhsār kī hifāzat ko
us ne laTkā.e kaan meñ kāñTe
chubh rahe haiñ mire ḳhayāloñ ko
bāġh-e-jannat-nishāñ meñ kāñTe
muskurātī ḳhamoshiyāñ us kī
mere tarz-e-bayān meñ kāñTe
hasrateñ aur ijz-goyā.ī
dil meñ kāñTe zabān meñ kāñTe
ret meñ rul ke chal ga.e jauhar
jauharī kī dukān meñ kāñTe
rākshas ban ga.e mahā-jogī
gyaan meñ aur dhyān meñ kāñTe
kabhī hotī thī eḌiyoñ meñ ḳhalish
ab to haiñ jism-o-jān meñ kāñTe
kitnā mushkil huā hai rizq-e-halāl
shorbe aur naan meñ kāñTe
chunñe vaalā koī nahīñ 'sayyad'
aur bhare haiñ jahān meñ kāñTe
Top Urdushayar.com