har ek raah se aage hai ḳhvāb kī manzil
tire huzūr se baḌh kar ġhayāb kī manzil
nahīñ hai aap hī maqsūd apnā jauhar-e-zāt
ki āftāb nahīñ āftāb kī manzil
kuchh aisā rañj diyā bachpane kī ulfat ne
phir us ke ba.ad na aa.ī shabāb kī manzil
musāfiroñ ko barābar nahīñ zamān-o-makāñ
havā kā ek qadam aur habāb kī manzil
mohabbatoñ ke ye lamhe dareġh kyuuñ kiije
bhugat hī leñge jo aa.ī hisāb kī manzil
milegī bāda-gusāroñ ko shaiḳh kyā jaane
gunah kī raah se ho kar savāb kī manzil
masām naach rahe haiñ muāmlat ke liye
guzar ga.ī hai savāl-o-javāb kī manzil
milī jo aas to sab marhale hue āsāñ
nahīñ hai koī bhī manzil sarāb kī manzil
mizāj-e-dard ko āsūdgī se raas karo
kahāñ milegī tumheñ iztirāb kī manzil
rah-e-junūñ meñ talab ke sivā nahīñ 'sayyad'
agarche tai ho ḳhudā kī kitāb kī manzil