Muzaffar Ali Syed

suniye payam-e-shams-o-qamar raqs kijiye

Muzaffar Ali Syed

suniye payām-e-shams-o-qamar raqs kījiye
is dā.ere meñ shām-o-sahar raqs kījiye
pākīzgī fazā kī tarannum nasīm kā
kyā chāñdnī hai pichhle pahar raqs kījiye
taalī bajā rahe haiñ shagūfe na.e na.e
āvāz de rahe haiñ shajar raqs kījiye
kyā chhup-chhupā ke chhat ke tale naach meñ mazā
uryāñ nikal ke dar se badar raqs kījiye
jī chāhtā hai aaj farishtoñ se bhī kahūñ
parvāz kyā hai khīñch ke par raqs kījiye
fursat nahīñ faqīh ko zar kī talāsh se
mutlaq na kiije ḳhauf-o-ḳhatar raqs kījiye
gar iztirār qābil-e-tāzīr hai to ho
hai apne bas meñ ḳhair na shar raqs kījiye
dozaḳh jalā ke dard kā aur āgahī kī aag
donoñ ke darmiyān utar raqs kījiye
tanhā.iyoñ ke giit na sab ko sunā.iye
paañv milā ke joḌ ke sar raqs kījiye
mat pūchhiye ki pyaar kā anjām kyā huā
pyārā chalā gayā hai kidhar raqs kījiye
mānind-e-qais ret na sahrā kī chhāniye
kis ko milī hai kis kī ḳhabar raqs kījiye
kiije tavāf-e-kūcha-e-jānāñ ko tez-tar
muzmar hai is meñ sair-o-safar raqs kījiye
'sayyad' qarār ko to paḌī hai tamām umr
ik aur bhī ġhazal hai agar raqs kījiye
Top Urdushayar.com