Muzaffar Ali Syed

kya gham jo falak se koi utra na sar-e-KHak

Muzaffar Ali Syed

kyā ġham jo falak se koī utrā na sar-e-ḳhāk
juz ḳhaak nahīñ koī yahāñ chāra-gar-e-ḳhāk
miltī hai sharāboñ kī jagah gard-e-bayābāñ
mai-ḳhāne ko jaate haiñ to khultā hai dar-e-ḳhāk
sahrā ko gulistān baḌe shauq se kah lo
ya.anī shajar-e-ḳhāk se toḌo samar-e-ḳhāk
darmān-e-mohabbat hai nishān-e-kaf-e-pā bhī
āñkhoñ se lagā kar kabhī dekho asar-e-ḳhāk
āġhosh-e-lahad pahlū-e-mādar se sivā hai
kis ḳhauf se larzāñ hai tū ai be-ḳhabar-e-ḳhāk
be-maqsadī-e-dahr kā maz.har hai tasāhul
karne ko na ho kaam to insān kare ḳhaak
lālach kī nazar kaun kisī shaḳhs ko dekhe
āñkhoñ ke vare ḳhaak hai āñkhoñ ke pare ḳhaak
hai kaun jo phūloñ kī tamannā nahīñ rakhtā
ik 'sayyad'-e-dīvāna ki dāman meñ bhare ḳhaak
Top Urdushayar.com