kaun kahtā hai musībat par kabhī mātam na kar
maut hai ik pal kī saarī zindagī mātam na kar
ġham na kar un ke darīchoñ par charāġhāñ ho gayā
chaltī phirtī hai sadā se raushnī mātam na kar
karbalā se le ke registān-e-sīnā.ī talak
miT nahīñ saktī hamārī tishnagī mātam na kar
phir se momin ātish-e-namrūd meñ Daale ga.e
hai yahī sunnat ḳhalīlullāh kī mātam na kar
kufr hai ik millat-e-vāhid ye raushan ho gayā
mustaqil hai rishta-e-īmān bhī mātam na kar
kisht-e-muslim ko hamesha ḳhuun se sīñchā gayā
ek din hogī yahī khetī harī mātam na kar
ye bhī kyā kam hai basīrat kī nazar hāsil huī
dostoñ ne kī jo tujh se dushmanī mātam na kar
'sayyadī' tārīḳh meñ ik do baras kuchh bhī nahīñ
kashmakash hai iztirāb-e-dā.imī mātam na kar