bahut nahīf hai tarz-e-fuġhāñ badal Daalo
nizām-e-dahr ko naġhma-girāñ badal Daalo
dil-girafta tanavvo hai zindagī kā usuul
makāñ kā zikr to kyā lā-makāñ badal Daalo
na koī chiiz davāmī na koī shai mahfūz
yaqīñ sambhāl ke rakkho gumāñ badal Daalo
nayā banāyā hai dastūr-e-āshiqī ham ne
jo tum bhī qā.eda-e-dil-barāñ badal Daalo
agar ye taḳhta-e-gul zahar hai nazar ke liye
to phir mulāzamat-e-gulistāñ badal Daalo
jo ek pal ke liye ḳhud badal nahīñ sakte
ye kah rahe haiñ ki saarā jahāñ badal Daalo
tumhārā kyā hai musībat hai likhne vāloñ kī
jo de chuke ho vo saare bayāñ badal Daalo
mujhe batāyā hai 'sayyad' ne nusḳha-e-āsāñ
jo tañg ho to zamīñ āsmāñ badal Daalo