'sayyad' tumhāre ġham kī kisī ko ḳhabar nahīñ
ho bhī ḳhabar kisī ko to samjho ḳhabar nahīñ
maujūd ho to kis liye mafqūd ho ga.e
kin jañgaloñ meñ jā ke base ho ḳhabar nahīñ
itnī ḳhabar hai phuul se ḳhushbū judā huī
us ko kahīñ se DhūñDh ke laao ḳhabar nahīñ
dil meñ ubal rahe haiñ vo tūfāñ ki al-amāñ
chehre pe vo sukūn hai maano ḳhabar nahīñ
dekho to har baġhal meñ hai daftar dabā huā
aḳhbār meñ jo chhāpnā chāho ḳhabar nahīñ
nok-e-zabāñ haiñ tum ko sharāboñ ke naam sab
lekin nashe kī bāda-parasto ḳhabar nahīñ
kāġhaz zamīn-e-shor qalam shāḳh-e-be-samar
kis aarzū pe umr guzāro ḳhabar nahīñ
'sayyad' koī to ḳhvāb bhī tasnīf kījiye
har baar tum yahī na sunāo ḳhabar nahīñ