qatre meñ bhī chhupe haiñ bhañvar raqs kījiye
qaid-e-sadaf meñ misl-e-guhar raqs kījiye
kiije fasurdagī-e-tabī.at kā kuchh ilaaj
is ḳhāk-dāñ meñ misl-e-sharar raqs kījiye
ik naujavāñ ne aaj buzurgoñ se kah diyā
hotī nahīñ jo umr basar raqs kījiye
suuje haiñ paañv aañkh se hī taal dījiye
uljhā huā hai tār-e-nazar raqs kījiye
gardish meñ ik sitāra-e-be-chāra hī nahīñ
hai āsmāñ bhī zer-o-zabar raqs kījiye
guzre jo māh-o-sāl to lai bhī badal ga.ī
ab ke baras ba-rañg-e-digar raqs kījiye
fariyād kījiye na koī zulm Dhā.iye
ik vahm hai shikast-o-zafar raqs kījiye
is tā.ife meñ ek kamī hai to aap kī
ai dushmanān-e-ilm-o-hunar raqs kījiye
fashion hai āj-kal kā madārī kī DugDugī
dil chāhe yā na chāhe magar raqs kījiye
apnī to jhoñpaḌī meñ thiraktā nahīñ charāġh
jā kar kisī raqīb ke ghar raqs kījiye
'sayyad' na radio na cinema hai aap kā
apne hī giit gā.iye aur raqs kījiye