yuuñ tah-e-shabnam chaman rakhnā bhī kyā
ḳhvāhishoñ ko be-suḳhan rakhnā bhī kyā
lams kī ta.abīr se nā-āshnā
ḳhvāb ke jaisā badan rakhnā bhī kyā
ghar kī dīvāreñ na deñ jis kā pata
aisī daulat aisā dhan rakhnā bhī kyā
bante bante bhī bigaḌ jaatī hai baat
itnī lahje meñ chubhan rakhnā bhī kyā
zindagī jiine kī zid apnī jagah
bāñdh kar sar se kafan rakhnā bhī kyā