Abdussalam Asim

jis jagah jo KHush-nashin aaya nazar rahne diya

Abdussalam Asim

Kolkata, West Bengal, India

1960
jis jagah jo ḳhush-nashīñ aayā nazar rahne diyā
ham ne raushan-dān meñ chiḌiyoñ kā ghar rahne diyā
mil ke jo bichhḌe unheñ jaane se rokā bhī nahīñ
aur jo saath aa.e un ko ham-safar rahne diyā
jis ke Dar kī karte phirte haiñ tijārat ahl-e-dīñ
ham ne us ke ḳhauf se larzīda shar rahne diyā
dard-e-dil ko bhī davāoñ se hī bahlāte rahe
bad-duāoñ ko hamesha be-asar rahne diyā
har sahar tujh ko bhulāne ke liye daftar gayā
aur tirī yādoñ ko mehmāñ raat bhar rahne diyā
jis meñ hāthoñ ko mire thāme nazar aate ho tum
bas usī tasvīr ko dīvār par rahne diyā
sab badal kar rakh diyā ham ne in āñkhoñ ke liye
haañ magar manzar-ba-manzar chashm-e-tar rahne diyā
Top Urdushayar.com