baras ke bhī na mire kaam aa sakī bārish
abhī vo khul hī rahe the ki dhul ga.ī bārish
bujhā sakī na kisī taur merī ruuh kī pyaas
badan kī had se tajāvuz na kar sakī bārish
ajab nahīñ ki jigar tak utar ga.ī hotī
hamāre saath agar ḳhud bhī bhīgtī bārish
hai zikr-e-yār isī iltizām se rañgīñ
mahaktā jism javāñ raat be-ḳhudī bārish
hamīñ fareb-e-nazar kā shikār hote rahe
havā ke saath badaltī thī samt bhī bārish
kabhī to raaz diloñ ke TaToltī 'āsim'
kabhī to jhāñktī āñkhoñ meñ sar-phirī bārish