zikr tā fikr nazar tak mahdūd
justujū saarī ḳhabar tak mahdūd
kar diyā ham ne hī nādānī meñ
mo.ajiza shaqq-e-qamar tak mahdūd
kyā bujhā pā.egī namrūd kī aag
vo ibādat jo hai Dar tak mahdūd
kuchh nahīñ zaat ke nauhe ke sivā
is adab meñ jo hai shar tak mahdūd
shaiḳh kī saarī kamā.ī afsos
rah ga.ī la.al-o-gohar tak mahdūd
aaj bhī haiñ mire qadmoñ ke nishāñ
bas tirī rāhguzar tak mahdūd
ishq meñ koī bhī saudā 'āsim'
ham ne kab rakkhā hai sar tak mahdūd