ye maan lene meñ aisī bhī kyā burā.ī hai
samajh meñ der se ik achchhī baat aa.ī hai
diyā hai tum ne ba-sad zo.am intihā kā naam
jise vo marhala-e-shauq ibtidā.ī hai
haiñ tujh se baḌh ke yahāñ tere saare ham-sā.e
mire ḳhudā ye tirī kaisī kibriyā.ī hai
vo jin ko kar gayā be nuur āgahī kā tilism
kahāñ in āñkhoñ ko phir subah raas aa.ī hai
ba-zid haiñ vo bhī ki maiñ un hī kī tarah sochūñ
vo jin se duur kā rishta na āshnā.ī hai
batā.ūñ kyā use āshob-e-rozgār 'āsim'
jo mere vāste vaj.h-e-ġhazal-sarā.ī hai