ash.ār meñ mafhūm fasāne meñ kahānī
mat DhūñD ki uljhāte haiñ alfāz-o-ma.ānī
sad shukr vo ta.abīr se mashrūt nahīñ thiiñ
bachpan meñ sunā karte the jo ḳhvāb kahānī
vo zindagī jo paane aur khone se sivā ho
zeb us ko nahīñ detī kabhī marsiya-ḳhvānī
fitrat ke taqāze pe na kar rāh-e-amal band
iqbāl kī ye baat kisī ne bhī na maanī
takmīl-e-junūñ ab bhī hai is misre se mashrūt
ai chāñd mubārak ho tujhe raat suhānī
ḳhush-hāliyāñ dehlī kī bajā aaj bhī lekin
yaad aatī hai kalkatte kī vo shoḳh javānī
pardes meñ bas zehn se ābād hai 'āsim'
dil se nahīñ kar paayā kabhī naql-e-makānī