Osama Khalid

raat jhaTke se meri nind khuli TuT gai

Osama Khalid

Muzaffargarh, Punjab, Pakistan

1998

raat jhaTke se mirī niiñd khulī TuuT ga.ī

kāñch chiiz thī Table se girī TuuT ga.ī

sho.abada-bāz ne ġhā.eb kiyā manzar se mujhe

be-gharī chhūT ga.ī aur chhaḌī TuuT ga.ī

ḳhāmushī naam ik shai hai mire siine meñ

mujhe haath lagā dekh abhī TuuT ga.ī

qahqaha dā.imī thā merā mire paas rahā

mātamī chup jo mirī naam thī TuuT ga.ī

saañs dīvār hai jīvan bahut ḳhasta mizāj

do minute Tek lage aur bhalī TuuT ga.ī

tum se is vāste mānūs nahīñ hotā maiñ

jo koī chiiz mujhe achchhī lagī TuuT ga.ī

zindagī tohfa milī jis ko nahīñ sarf kiyā

band Dabbe meñ na.ī chiiz paḌī TuuT ga.ī

ik zarā rañj nahīñ apnī halākat mujhe

dukh to ye hai tirī ḳhāmosh ravī TuuT ga.ī

Top Urdushayar.com