usī ne aadam ke naqsh-e-pā ko azal kiyā thā bharam rakhā thā
zamīñ pe jalva-fagan na ho kar bhī jis ne pahlā qadam rakhā thā
ham ek tartīb se tumhārī udaas nazmoñ pe ro chuke haiñ
ki āñsuoñ aur ḳhuun ke beach DeḌh siskī kā sam rakhā thā
za.iif vaqtoñ meñ apne kumbe kī zimmedārī uThā.ī ham ne
tumhāre abbū ne muñh dikhā.ī meñ is hathelī pe ġham rakhā thā
inhī guloñ se ab āThvīñ sur kī mīThī āvāz aa rahī hai
jinhoñ ne hijrāñ kī raat larzish ke ḳhaas unsur ko kam rakhā thā
use batānā ki apne dariyāoñ kī hifāzat ke kaam aa.e
vo peḌ kashtī bane hue haiñ jinhoñ ne sahrā meñ nam rakhā thā