jahān-e-girya jo aadam ko ḳhuld kā dukh hai
isī lihāz se dhartī havā ḳhalā dukh hai
kabhī firāq kī rātoñ meñ aa.ina dekhūñ
to ḳhud se kahtā huuñ dekho ye aa.ina dukh hai
shadīd ronā to andar kā habs ghuTnā hai
khichāo hañsne se paḌtā hai qahqaha dukh hai
zamīn gol hai merī vafāt ne kholā
ki dost ammī se kahte the ye baḌā dukh hai
maiñ bāñjh peḌ huuñ saaya na phal mire uupar
mujhe samay de kabhī pūchh mujh ko kyā dukh hai
tamām ḳhushiyāñ ikaTThī thiiñ ek dukh ke gird
unheñ dhakel ke chīḳhā haTo mirā dukh hai
maiñ ḳhud se jañg meñ haarā huā sipāhī huuñ
ki jis kā rābta number atā-patā dukh hai