Osama Khalid

koi malal hun dukh hun batao kya hun main

Osama Khalid

Muzaffargarh, Punjab, Pakistan

1998
koī malāl huuñ dukh huuñ batāo kyā huuñ maiñ
dinoñ ke ba.ad kisī shaḳhs ko dikhā huuñ maiñ
ye kaun pāltā phirtā hai hijr kā aaseb
mujhe batāyā gayā thā ki mar chukā huuñ maiñ
jigar ke haath lapakte haiñ aañkh kī jānib
kuchh aisī tarz se girya-kunāñ huā huuñ maiñ
kabhī kabhī mirī āñkheñ javāb detī haiñ
kabhī kabhī tujhe itnā savāltā huuñ maiñ
kisī ke ashk mire gaal chhū ke girte the
kisī ke qurb meñ itnā bhī rah chukā huuñ maiñ
tumhārā hijr mire saath rahnā chāhtā hai
use batāo ki is se bahut baḌā huuñ maiñ
bahisht pheñk chukī hai zamīn par mujh ko
ḳhudā kā shukr tujhe raas aa gayā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com