kunDī bajā ke is liye bhāgā nahīñ huuñ maiñ
dikhtā nahīñ kisī ko to sochā nahīñ huuñ maiñ
pichhle baras kī baat hai kuchh log aa.e the
dastak sunī to kamre se chīḳhā nahīñ huuñ maiñ
jaane maiñ kis kā jism huuñ aur kis ke paas huuñ
DhūñDā hai ḳhud ko har jagah miltā nahīñ huuñ maiñ
le jaao mujh ko mujh se magar ek baat hai
lambe safar ke vāste achchhā nahīñ huuñ maiñ
saayā huuñ aur din Dhale bujh-vujh gayā huuñ kyā
dekhā hai aaj aa.ina dikhtā nahīñ huuñ maiñ
nāḳhun chubho ke bhāñp lo mujh meñ mirā vajūd
kitnā huuñ apne-āp meñ kitnā nahīñ huuñ maiñ
mumkin hai ye malāl tumheñ bhī fareb de
jaisā mujhe banāyā thā vaisā nahīñ huuñ maiñ
ik ik dukāñ se pūchhā ki maiñ dastiyāb huuñ
inkār sun ke bujh gayā achchhā nahīñ huuñ maiñ