Thiik hai in dinoñ ḳhud par zarā ġhussa huuñ maiñ
phir bhī apnī sabhī harkāt ko taktā huuñ maiñ
aañkh kī mez pe rakkhā hai mirā ḳhvāb-e-safar
aur bistar pe shikan Daal ke soyā huuñ maiñ
maslahat DhūñDte phirte ho sabhī kāmoñ meñ
tum ko bīmār nahīñ lagtā to achchhā huuñ maiñ
vaqt-e-vahshat mujhe pahchān nahīñ paatā koī
phir batātā huuñ fulāñ shaḳhs kā beTā huuñ maiñ
tum jo chāho to mujhe peḌ kā hissa kar do
varna pairoñ tale rauñdā huā pattā huuñ maiñ
chand lamhoñ kā dhuāñ aks meñ tabdīl huā
aur maiñ jhuum ke kahne lagā dekhā huuñ maiñ
saḳht bīmārī meñ rakhtā huuñ ḳhayāl aap apnā
ḳhud se ḳhud pūchhtā rahtā huuñ ki kaisā huuñ maiñ