Osama Khalid

kuchh bholi aur kuchh tikhi aawazen hain

Osama Khalid

Muzaffargarh, Punjab, Pakistan

1998
kuchh bholī aur kuchh tīkhī āvāzeñ haiñ
jaise chehre haiñ vaisī āvāzeñ haiñ
ik tathīr se aarī jism kā pursa haiñ
ḳhauf meñ lipTī jitnī bhī āvāzeñ haiñ
chāroñ-jānib ghor añdherā hai jis meñ
āThoñ jānib sunñe kī āvāzeñ haiñ
aisā mahv huuñ ḳhāmoshī ko sunñe meñ
maano mujh se pahle kī āvāzeñ haiñ
ghuur rahā huuñ kānoñ kī vīrānī ko
chīḳh rahā huuñ kyā gūñgī āvāzeñ haiñ
itnī vahshat taarī huī ki bhuul ga.e
ye to apnī imdādī āvāzeñ haiñ
chauñk rahā huuñ mere vīrāñ kamre meñ
koī nahīñ hai phir kaisī āvāzeñ haiñ
āvāzoñ kā jamnā is se sābit hai
jaise ham ḳhāmoshī kī āvāzeñ haiñ
dost hamāre paas izāfī kuchh bhī nahīñ
martī siskiyāñ haiñ dabtī āvāzeñ haiñ
Top Urdushayar.com