Osama Khalid

panw ka dhyan to hai rah ka Dar koi nahin

Osama Khalid

Muzaffargarh, Punjab, Pakistan

1998
paañv kā dhyān to hai raah kā Dar koī nahīñ
mujh ko lagtā hai mirā zād-e-safar koī nahīñ
ba.az auqāt to maiñ ḳhud pe bahut chīḳhtā huuñ
chīḳhtā huuñ ki udhar jaao jidhar koī nahīñ
sar pe dīvār kā saayā bhī udāsī hai mujhe
zāhiran aisī udāsī kā asar koī nahīñ
āḳhirī baar mujhe khīñch ke siine se lagā
aur phir dekh mujhe maut kā Dar koī nahīñ
ḳhud-kushī karte samay pūchhtā huuñ merā aziiz
aur āvāz sī aatī hai to mirā koī nahīñ
bharī duniyā hai sisakne meñ jhijak hogī tumheñ
ye mirā dil hai idhar ro lo idhar koī nahīñ
ek din log mujhe taḳht-nashīñ dekheñge
yā ye dekheñge mirā jism hai sar koī nahīñ
us kī hijrat baḌā a.asāb-shikan sāneha thī
shahr to shahar hai jañgal meñ shajar koī nahīñ
sub.h se raat kī māyūsī bhagāne kā sabab
koī to hotā mire dost magar koī nahīñ
be-ḳhayālī sī mujhe god meñ bhar letī hai
dar pe dastak ho to kah detā huuñ ghar koī nahīñ
Top Urdushayar.com