Ata ul Haq Qasmi

manzilen bhi ye shikasta baal-o-par bhi dekhna

Ata ul Haq Qasmi

Amritsar, Punjab, India

1943
manzileñ bhī ye shikasta bāl-o-par bhī dekhnā
tum safar bhī dekhnā raḳht-e-safar bhī dekhnā
hāl-e-dil to khul chukā is shahr meñ har shaḳhs par
haañ magar is shahr meñ ik be-ḳhabar bhī dekhnā
rāsta deñ ye sulagtī bastiyāñ to ek din
qarya-e-jāñ meñ utarnā ye nagar bhī dekhnā
chand lamhoñ kī shanāsā.ī magar ab umr bhar
tum sharar bhī dekhnā raqs-e-sharar bhī dekhnā
jis kī ḳhātir maiñ bhulā baiThā thā apne aap ko
ab usī ke bhuul jaane kā hunar bhī dekhnā
ye to ādāb-e-mohabbat ke munāfī hai 'atā'
rauzan-e-dīvār se bairūn-e-dar bhī dekhnā
Top Urdushayar.com