vo ek shaḳhs ki manzil bhī rāstā bhī hai
vahī duā bhī vahī hāsil-e-duā bhī hai
maiñ us kī khoj meñ niklā huuñ saath le ke use
vo husn mujh pe ayaañ bhī hai aur chhupā bhī hai
maiñ dar-ba-dar thā magar bhuul bhuul jaatā thā
ki ik charāġh darīche meñ jāgtā bhī hai
khulā hai dil kā darīcha usī kī dastak par
jo mujh ko merī nigāhoñ se dekhtā bhī hai
ye merī sarhad-e-jāñ meñ qadam dharā kis ne
ki mahv-e-ḳhvāb huuñ āñkhoñ meñ rat-jagā bhī hai
use vo bhūlne lagtā hai jo use bhūle
'atā' ki dil-zada bhī aur sar-phirā bhī hai