Ata ul Haq Qasmi

wo gard hai ki waqt se ojhal to main bhi hun

Ata ul Haq Qasmi

Amritsar, Punjab, India

1943
vo gard hai ki vaqt se ojhal to maiñ bhī huuñ
phir bhī ġhubār jaisā koī pal to maiñ bhī huuñ
ḳhvāhish kī vahshatoñ kā ye jañgal hai pur-ḳhatar
mujh se bhī ehtiyāt ki jañgal to maiñ bhī huuñ
lagtā nahīñ ki us se marāsim bahāl hoñ
maiñ kyā karūñ ki thoḌā sā pāgal to maiñ bhī huuñ
vo mere dil ke goshe meñ maujūd hai kahīñ
aur us ke dil meñ thoḌī sī halchal to maiñ bhī huuñ
nikle ho qatra qatra mohabbat talāshne
dekho idhar ki pyaar kī chhāgal to maiñ bhī huuñ
kaise ise nikālūñ maiñ zindān-e-zāt se
zindān-e-zāt hī meñ muqaffal to maiñ bhī huuñ
maazī ke aa.ine meñ 'atā' koī ḳhush-adā
shikva-kunāñ thā kahtā thā sāñval to maiñ bhī huuñ
Top Urdushayar.com